मैं ये सोचकर उसके दर से उठा था
मैं ये सोचकर उसके दर से उठा था
के वो रोक लेगी मना लेगी मुझको
हवाओं में लहराता आता था दामन
के दामन पकड़कर बिठा लेगी मुझको
कदम ऐसे अंदाज़ से उठ रहे थे
के आवाज़ देकर बुला लेगी मुझको
मगर उसने रोका
न उसने मनाया
न दामन ही पकड़ा
न मुझको बिठाया
न आवाज़ ही दी
न वापस बुलाया
मैं आहिस्ता आहिस्ता बढ़ता ही आया
यहाँ तक के उससे जुदा हो गया मैं …
maiṅ ye sochkar uske dar se uṭhā thā
ke vo rok legī manā legī mujhko
havāoṅ meṅ lahrātā ātā thā dāman
ke dāman pakaṛkar biṭhā legī mujhko
kadam aise aṅdāz se uṭh rahe the
ke āvāz dekar bulā legī mujhko
magar usne rokā
na usne manāyā
na dāman hī pakaṛā
na mujhko biṭhāyā
na āvāz hī dī
na vāpas bulāyā
maiṅ āhistā āhistā baṛhtā hī āyā
yahāṇ tak ke usse judā ho gayā maiṅ …