Main tere khvaabon se ... sab kuchh churaa ke le jaaoongaa

मैं तेरे ख्वाबों से ... सब कुछ चुरा के ले जाऊँगा
Year
Language

मैं तेरे ख्वाबों से चला जाऊँगा
मैं तेरी रातों को जगा जाऊँगा
तेरी बिंदिया तेरी पायल तेरी निंदिया तेरा काजल
सब कुछ चुरा के ले जाऊँगा
मैं तेरे ख्वाबों …

तेरी मरजी ना हो तो पास नहीं आऊँगा
पास चला आऊँगा तो दूर नहीं जाऊँगा
तेरे नखरे तेरा गुस्सा तेरे झुमके तेरा ठुमका
सब कुछ चुरा के ले जाऊँगा
मैं तेरे ख्वाबों …

हुस्न पे अपने तुझको कितना गुरूर है
हाँ तू जवानी की मस्ती में चूर है
तेर हँसना तेरा रोना तेरा जगना तेरा सोना
सब कुछ चुरा के ले जाऊँगा
मैं तेरे ख्वाबों …

maiṅ tere khvāboṅ se chalā jāūṇgā
maiṅ terī rātoṅ ko jagā jāūṇgā
terī biṅdiyā terī pāyal terī niṅdiyā terā kājal
sab kuchh churā ke le jāūṇgā
maiṅ tere khvāboṅ …

terī marjī nā ho to pās nahīṅ āūṇgā
pās chalā āūṇgā to dūr nahīṅ jāūṇgā
tere nakhre terā gussā tere jhumke terā ṭhumkā
sab kuchh churā ke le jāūṇgā
maiṅ tere khvāboṅ …

husn pe apne tujhko kitnā gurūr hai
hāṇ tū javānī kī mastī meṅ chūr hai
ter hṇsnā terā ronā terā jagnā terā sonā
sab kuchh churā ke le jāūṇgā
maiṅ tere khvāboṅ …