मैं तो तेरे हसीन ख़्यालों में खो गया
मैं तो तेरे हसीन ख़्यालों में खो गया
दुनिया ये कह रही है कि दीवाना हो गया
मैं तो तेरे …
ये हुस्न तेरा खिलता हुआ सा गुलाब है
आँखें तेरी हसीन ग़ज़ल का शबाब हैं तू लाजवाब है
वो ख़ुशनसीब है तेरी महफ़िल में जो गया
मैं तो तेरे …
कोई न जिसको समझा तू एक ऐसा राज़ है
मुझको भी आज अपने मुक़द्दर पे नाज़ है
तू दिल-नवाज़ है
आशिक़ हूँ तेरी ज़ुल्फ़ के साए में सो गया
मैं तो तेरे …
दामन छुड़ा के जाओ ना इतने ग़ुरूर से
क्या है क़सूर पूछते हैं हम हुज़ूर से देखो न दूर से
कर दो ख़ता मुआफ़ जो होना था हो गया
मैं तो तेरे …
maiṅ to tere hasīn khyāloṅ meṅ kho gayā
duniyā ye kah rahī hai ki dīvānā ho gayā
maiṅ to tere …
ye husn terā khiltā huā sā gulāb hai
āṇkheṅ terī hasīn ġhazal kā śhabāb haiṅ tū lājvāb hai
vo khuśhansīb hai terī mahafil meṅ jo gayā
maiṅ to tere …
koī na jisko samjhā tū ek aisā rāz hai
mujhko bhī āj apne muqaddar pe nāz hai
tū dil-navāz hai
āśhiq hūṇ terī zulf ke sāe meṅ so gayā
maiṅ to tere …
dāman chhuṛā ke jāo nā itne ġhurūr se
kyā hai qasūr pūchhte haiṅ ham huzūr se dekho na dūr se
kar do khatā muāf jo honā thā ho gayā
maiṅ to tere …