Main sasuraal naheen jaaoongee ... dolee rakh do kahaaron

मैं ससुराल नहीं जाऊंगी ... डोली रख दो कहारों
Work
Year
Language

मैं ससुराल नहीं जाऊंगी -2
डोली रख दो कहारों
साल दो साल नहीं जाऊंगी -2
मैं ससुराल नहीं …

पहला सन्देसा ससुर जी का आया
अच्छा बहाना यह मैने बनाया
बुड्ढे ससुर के संग नहीं जाऊंगी
मैं ससुराल नहीं …

दूजा सन्देसा सासू जी का आया
बुढ़िया ने हाय राम कितना सताया
उस बुढ़िया को मैं अब सताऊंगी
मैं ससुराल नहीं …

तीजा सन्देसा नन्दनिया आ आया
जिसने इशारों में मुझको नचाया
उसे घुंघरू मैं अब पहनाऊंगी
मैं ससुराल नहीं …

चौथा सन्देसा ननदोई का आया
मैं चल पड़ी थी मगर याद आया
इतनी जल्दी मैं कैसे मान जाऊंगी
मैं ससुराल नहीं …

पांचवा संदेसा पिया जी का आया
कोई बहाना न फिर याद आया
नंगे पांव मैं दौड़ी चली जाऊंगी
मैके वापस मैं लौटकर न आऊंगी
सैंया जी से लिपट मैं जाऊंगी
हूँ सूनी सेज सजरिया सजाऊंगी
बन के बिस्तर मैं हाय बिछ जाऊंगी
मैं ससुराल नहीं …

maiṅ sasurāl nahīṅ jāūṅgī -2
ḍolī rakh do kahāroṅ
sāl do sāl nahīṅ jāūṅgī -2
maiṅ sasurāl nahīṅ …

pahlā sandesā sasur jī kā āyā
achchhā bahānā yah maine banāyā
buḍḍhe sasur ke saṅg nahīṅ jāūṅgī
maiṅ sasurāl nahīṅ …

dūjā sandesā sāsū jī kā āyā
buṛhiyā ne hāy rām kitnā satāyā
us buṛhiyā ko maiṅ ab satāūṅgī
maiṅ sasurāl nahīṅ …

tījā sandesā nandniyā ā āyā
jisne iśhāroṅ meṅ mujhko nachāyā
use ghuṅghrū maiṅ ab pahnāūṅgī
maiṅ sasurāl nahīṅ …

chauthā sandesā nandoī kā āyā
maiṅ chal paṛī thī magar yād āyā
itnī jaldī maiṅ kaise mān jāūṅgī
maiṅ sasurāl nahīṅ …

pāṅchvā saṅdesā piyā jī kā āyā
koī bahānā na phir yād āyā
naṅge pāṅv maiṅ dauṛī chalī jāūṅgī
maike vāpas maiṅ lauṭkar na āūṅgī
saiṅyā jī se lipaṭ maiṅ jāūṅgī
hūṇ sūnī sej sajriyā sajāūṅgī
ban ke bistar maiṅ hāy bichh jāūṅgī
maiṅ sasurāl nahīṅ …