मैं प्यार का दीवाना सबसे मुझे उल्फ़त है
मैं प्यार का दीवाना सबसे मुझे उल्फ़त है
हर फूल मेरा दिल है और दिल में मुहब्बत है
मैं प्यार का दीवाना …
घबरा के ख़िज़ाँ गुजरी और दौर नया आया
इन्सान के जीवन में इक रंग नया लाया
( सीने में नई हलचल ) -2 चेहरे पे भी रंगत है
मैं प्यार का दीवाना …
सुनता हूँ मैं लहरों से संगीत बहारों के
दम लेने को रुकता हूँ साये में चनारों के
( काँटे हों कि अंगारे ) -2 चलना मेरी आदत है
मैं प्यार का दीवाना …
तू क्या है मुझे एक दिन मिल जाए तो मैं जानूँ
और फूल मेरे दिल का खिल जाए तो मैं मानूँ
( जलवों का पुजारी हूँ ) -2 दीदार की हसरत है
मैं प्यार का दीवाना …
maiṅ pyār kā dīvānā sabse mujhe ulfat hai
har phūl merā dil hai aur dil meṅ muhabbat hai
maiṅ pyār kā dīvānā …
ghabrā ke khizāṇ gujrī aur daur nayā āyā
insān ke jīvan meṅ ik raṅg nayā lāyā
( sīne meṅ naī halchal ) -2 chehre pe bhī raṅgat hai
maiṅ pyār kā dīvānā …
suntā hūṇ maiṅ lahroṅ se saṅgīt bahāroṅ ke
dam lene ko ruktā hūṇ sāye meṅ chanāroṅ ke
( kāṇṭe hoṅ ki aṅgāre ) -2 chalnā merī ādat hai
maiṅ pyār kā dīvānā …
tū kyā hai mujhe ek din mil jāe to maiṅ jānūṇ
aur phūl mere dil kā khil jāe to maiṅ mānūṇ
( jalvoṅ kā pujārī hūṇ ) -2 dīdār kī hasrat hai
maiṅ pyār kā dīvānā …