Main ne shaayad tumhen, pahle bhee kaheen dekhaa hai

मैं ने शायद तुम्हें, पहले भी कहीं देखा है
Year
Language

मैं ने शायद तुम्हें पहले भी कहीं देखा है

अजनबी सी हो मगर गैर नहीं लगती हो
वहम से भी जो हो नाज़ुक वो यकीं लगती हो
हाय ये फूल सा चेहरा ये घनेरी ज़ुल्फ़ें
मेरे शेरों से भी तुम मुझको हंसीं लगती हो

देखकर तुमको किसी रात की याद आती है
एक ख़ामोश मुलाक़ात की याद आती है
जहाँ में हुस्न की ठंडक का असर जगता है
आंच देती हुई बरसात की याद आती है

जिसकी पलकें मेरी आँखों पे झुकी रहती हैं
तुम वही मेरे ख़यालों की परी हो की नहीं
कहीं पहले की तरह फिर तो न खो जाओगी
जो हमेशा के लिये हो वो खुशी हो की नहीं

maiṅ ne śhāyad tumheṅ pahle bhī kahīṅ dekhā hai

ajanbī sī ho magar gair nahīṅ lagtī ho
vaham se bhī jo ho nāzuk vo yakīṅ lagtī ho
hāy ye phūl sā chehrā ye ghanerī zulfeṅ
mere śheroṅ se bhī tum mujhko haṅsīṅ lagtī ho

dekhkar tumko kisī rāt kī yād ātī hai
ek khāmośh mulāqāt kī yād ātī hai
jahāṇ meṅ husn kī ṭhaṅḍak kā asar jagtā hai
āṅch detī huī barsāt kī yād ātī hai

jiskī palkeṅ merī āṇkhoṅ pe jhukī rahtī haiṅ
tum vahī mere khayāloṅ kī parī ho kī nahīṅ
kahīṅ pahle kī tarah phir to na kho jāogī
jo hameśhā ke liye ho vo khuśhī ho kī nahīṅ