Main naa bhooloongaa, main naa bhooloongaa

मैं ना भूलूंगा, मैं ना भूलूंगा
Year
Language

मैं ना भूलूंगा, मैं ना भूलूंगा
इन रस्मों को, इन कसमों को, इन रिश्ते नातों को
मैं ना भूलूंगा, मैं ना भूलूंगा

समय की धारा में, उमर बह जानी है
जो घड़ी जी लेंगे, वही रह जानी है
मैं बन जाऊँ साँस आखरी, तू जीवन बन जा
जीवन से साँसों का रिश्ता, मैं ना भूलूंगी

बरसता सावन हो, महकता आँगन हो
कभी दिल दूल्हा हो, कभी दिल दुल्हन हो
गगन बन कर झूमें, पवन बन कर घूमे
चलो राहे मोड़े, कभी ना संग छोड़े
कहीं पे छुप जाना है, नज़र नहीं आना है
कहीं पे बस जायेंगे, ये दिन कट जायेंगे
अरे क्या बात चली, वो देखो रात ढली
ये बाते चलती रहें, ये राते ढलती रहें
मैं मन को मंदिर कर डालूँ, तू पूजन बन जा
मंदिर से पूजा का रिश्ता मैं ना भूलूंगा

maiṅ nā bhūlūṅgā, maiṅ nā bhūlūṅgā
in rasmoṅ ko, in kasmoṅ ko, in riśhte nātoṅ ko
maiṅ nā bhūlūṅgā, maiṅ nā bhūlūṅgā

samay kī dhārā meṅ, umar bah jānī hai
jo ghaṛī jī leṅge, vahī rah jānī hai
maiṅ ban jāūṇ sāṇs ākhrī, tū jīvan ban jā
jīvan se sāṇsoṅ kā riśhtā, maiṅ nā bhūlūṅgī

barastā sāvan ho, mahaktā āṇgan ho
kabhī dil dūlhā ho, kabhī dil dulhan ho
gagan ban kar jhūmeṅ, pavan ban kar ghūme
chalo rāhe moṛe, kabhī nā saṅg chhoṛe
kahīṅ pe chhup jānā hai, nazar nahīṅ ānā hai
kahīṅ pe bas jāyeṅge, ye din kaṭ jāyeṅge
are kyā bāt chalī, vo dekho rāt ḍhalī
ye bāte chaltī raheṅ, ye rāte ḍhaltī raheṅ
maiṅ man ko maṅdir kar ḍālūṇ, tū pūjan ban jā
maṅdir se pūjā kā riśhtā maiṅ nā bhūlūṅgā