Main k‌yaa karoon raam mujhe buddhaa mil gayaa

मैं क्‌या करूँ राम मुझे बुड्ढा मिल गया
Work
Year
Language

मैं क्‌या करूँ राम मुझे बुड्ढा मिल गया
हाय, हाय बुड्ढा मिल गया

मैं गुड़िया हसीन मेरी मोरनी सी चाल है
सर में सफ़ेद उसके दादा जी सा बाल है
बिगड़ेगा हर काम मुझे बुड्ढा मिल गया
मैं क्‌या करूँ राम मुझे बुड्ढा मिल गया …

सब जो गये बाग़ मेरा बुड्ढा भी चला गया
सब तो लाये फूल बुड्ढा गोभी ले कर आ गया
मैं हो गई बदनाम मुझे बुड्ढा मिल गया
मैं क्‌या करूँ राम मुझे बुड्ढा मिल गया …

परियों के देश मुझे बुड्ढा ले कर आ गया
मैं ने जो उठाया घूँघट बुड्ढा गुस्सा खा गया
अब क्‌या होगा अंजाम मुझे बुड्ढा मिल गया
मैं क्‌या करूँ राम मुझे बुड्ढा मिल गया …

maiṅ k‌yā karūṇ rām mujhe buḍḍhā mil gayā
hāy, hāy buḍḍhā mil gayā

maiṅ guṛiyā hasīn merī mornī sī chāl hai
sar meṅ safed uske dādā jī sā bāl hai
bigaṛegā har kām mujhe buḍḍhā mil gayā
maiṅ k‌yā karūṇ rām mujhe buḍḍhā mil gayā …

sab jo gaye bāġh merā buḍḍhā bhī chalā gayā
sab to lāye phūl buḍḍhā gobhī le kar ā gayā
maiṅ ho gaī badnām mujhe buḍḍhā mil gayā
maiṅ k‌yā karūṇ rām mujhe buḍḍhā mil gayā …

pariyoṅ ke deśh mujhe buḍḍhā le kar ā gayā
maiṅ ne jo uṭhāyā ghūṇghaṭ buḍḍhā gussā khā gayā
ab k‌yā hogā aṅjām mujhe buḍḍhā mil gayā
maiṅ k‌yā karūṇ rām mujhe buḍḍhā mil gayā …