Main jab bhee akelee hotee hoon, tum chupke se aa jaate ho

मैं जब भी अकेली होती हूँ, तुम चुपके से आ जाते हो
Work
Year
Language

मैं जब भी अकेली होती हूँ, तुम चुपके से आ जाते हो
और झाँक के मेरी आँखों में, बीते दिन याद दिलाते हो
बीते दिन याद दिलाते हो

मस्ताना हवा के झोँकों से हर बार वो पर्दे का हिलना
पर्दे को पकड़ने की धुन में दो अजनबी हाथों का मिलना
आँखों में धुआँ सा छा जाना साँसों में सितारे से खिलना
बीते दिन याद दिलाते हो, बीते दिन याद दिलाते हो

मुड़-मुड़ के तुम्हारा रस्ते में तकना वो मुझे जाते-जाते
और मेरा ठिठक कर रुक जाना चिलमन के क़रीब आते-आते
नज़रों का तरस कर रह जाना एक और झलक पाते-पाते
बीते दिन याद दिलाते हो, बीते दिन याद दिलाते हो

बालों को सुखाने के ख़ातिर कोठे पे वो मेरा आ जाना
और तुमको मुक़ाबिल पाते ही कुछ शर्माना कुछ बलखाना
हमसायों के डर से कतराना, घर वालों के डर से घबराना
बीते दिन याद दिलाते हो, बीते दिन याद दिलाते हो

बरसात के भीगे मौसम में, सर्दी की ठिठुरती रातों में
पहरों वो यूँ ही बैठे रहना हाथों को पकड़कर हाथों में
और लंबी लंबी घड़ियों का कट जाना बातों बातों में
बीते दिन याद दिलाते हो, बीते दिन याद दिलाते हो

रो-रो के तुम्हें ख़त लिखती हूँ
रो-रो के तुम्हें ख़त लिखती हूँ और ख़ुद पढ़कर रो लेती हूँ
हालात के तपते तूफ़ां में जज़्बात की कश्ती खेती हूँ
कैसे हो? कहाँ हो? कुछ तो कहो, मैं तुम को सदाएं देती हूँ
मैं जब भी अकेली होती हूँ

मैं जब भी अकेली होती हूँ, तुम चुपके से आ जाते हो
और झाँक के मेरी आँखों में, बीते दिन याद दिलाते हो
बीते दिन याद दिलाते हो

maiṅ jab bhī akelī hotī hūṇ, tum chupke se ā jāte ho
aur jhāṇk ke merī āṇkhoṅ meṅ, bīte din yād dilāte ho
bīte din yād dilāte ho

mastānā havā ke jhoṇkoṅ se har bār vo parde kā hilnā
parde ko pakaṛne kī dhun meṅ do ajanbī hāthoṅ kā milnā
āṇkhoṅ meṅ dhuāṇ sā chhā jānā sāṇsoṅ meṅ sitāre se khilnā
bīte din yād dilāte ho, bīte din yād dilāte ho

muṛ-muṛ ke tumhārā raste meṅ taknā vo mujhe jāte-jāte
aur merā ṭhiṭhak kar ruk jānā chilman ke qarīb āte-āte
nazroṅ kā taras kar rah jānā ek aur jhalak pāte-pāte
bīte din yād dilāte ho, bīte din yād dilāte ho

bāloṅ ko sukhāne ke khātir koṭhe pe vo merā ā jānā
aur tumko muqābil pāte hī kuchh śharmānā kuchh balkhānā
hamsāyoṅ ke ḍar se katrānā, ghar vāloṅ ke ḍar se ghabrānā
bīte din yād dilāte ho, bīte din yād dilāte ho

barsāt ke bhīge mausam meṅ, sardī kī ṭhiṭhurtī rātoṅ meṅ
pahroṅ vo yūṇ hī baiṭhe rahnā hāthoṅ ko pakaṛkar hāthoṅ meṅ
aur laṅbī laṅbī ghaṛiyoṅ kā kaṭ jānā bātoṅ bātoṅ meṅ
bīte din yād dilāte ho, bīte din yād dilāte ho

ro-ro ke tumheṅ khat likhtī hūṇ
ro-ro ke tumheṅ khat likhtī hūṇ aur khud paṛhkar ro letī hūṇ
hālāt ke tapte tūfāṅ meṅ jazbāt kī kaśhtī khetī hūṇ
kaise ho? kahāṇ ho? kuchh to kaho, maiṅ tum ko sadāeṅ detī hūṇ
maiṅ jab bhī akelī hotī hūṇ

maiṅ jab bhī akelī hotī hūṇ, tum chupke se ā jāte ho
aur jhāṇk ke merī āṇkhoṅ meṅ, bīte din yād dilāte ho
bīte din yād dilāte ho