Main to hoon paagal mundaa too hai meree sonee kuree

मैं तो हूँ पागल मुंडा तू है मेरी सोनी कुड़ी
Work
Year
Language

मैं तो हूँ पागल मुंडा तू है मेरी सोनी कुड़ी
लेके दिल के पिंजरे को बुलबुल मेरी कहां उड़ी
रस्ते में खड़ा है ज़िद पे क्‌यों अड़ा है
मेरे पीछे पड़ा है तू दीवाना बड़ा है
रब्बा आई मुसीबत बड़ी
मैं तो हूँ पागल …

पतली कमर से ठुमका जो मारे हो जाएं पागल सारे कंवारे
मिर्ची के जैसी बोली नैनों से मारे गोली देखे तो चेहरे से लगती है भोली
देखा कहीं न ऐसा अनाड़ी उल्टी चलाए चाहत की गाड़ी
मेरी मर्ज़ी न जाने मेरी बातें न माने
छेड़े है राहों में करके बहाने
मैं तो हूँ पागल …

तीखी हसीना मीठी कटारी कब तक रहेगी ऐसी कंवारी
लेके मैं डोली आऊँ हाथी घोड़े भी लाऊँ
दीवानी दुल्हन मैं तुझको बनाऊं
तेरी है तेरी मेरी जवानी मैं भी बनूंगी ख्वाबों की रानी
जल्दबाज़ी न करना ऐसे आहें ना भरना
तेरी ही बाहों में है जीना मरना
मैं तो हूँ पागल …

maiṅ to hūṇ pāgal muṅḍā tū hai merī sonī kuṛī
leke dil ke piṅjre ko bulbul merī kahāṅ uṛī
raste meṅ khaṛā hai zid pe k‌yoṅ aṛā hai
mere pīchhe paṛā hai tū dīvānā baṛā hai
rabbā āī musībat baṛī
maiṅ to hūṇ pāgal …

patlī kamar se ṭhumkā jo māre ho jāeṅ pāgal sāre kaṅvāre
mirchī ke jaisī bolī nainoṅ se māre golī dekhe to chehre se lagtī hai bholī
dekhā kahīṅ na aisā anāṛī ulṭī chalāe chāhat kī gāṛī
merī marzī na jāne merī bāteṅ na māne
chheṛe hai rāhoṅ meṅ karke bahāne
maiṅ to hūṇ pāgal …

tīkhī hasīnā mīṭhī kaṭārī kab tak rahegī aisī kaṅvārī
leke maiṅ ḍolī āūṇ hāthī ghoṛe bhī lāūṇ
dīvānī dulhan maiṅ tujhko banāūṅ
terī hai terī merī javānī maiṅ bhī banūṅgī khvāboṅ kī rānī
jaldbāzī na karnā aise āheṅ nā bharnā
terī hī bāhoṅ meṅ hai jīnā marnā
maiṅ to hūṇ pāgal …