Main gareebon kaa dil main machaltee sabaa

मैं गरीबों का दिल मैं मचलती सबा
Work
Year
Language

मैं गरीबों का दिल, मैं मचलती सबाँ
बेकसों के लिये, प्यार का आशियाँ
मैं गरीबों का दिल …

मैं जो गाता चला, साथ महफ़िल चले
मैं जो बढ़ता चला, साथ मंज़िल चले
मुझे राह दिखाती चले बिजलियाँ
मैं गरीबों का दिल …

हुस्न भी देख कर मुझको हैरान है
इश्क़ को मुझसे मिलने का अरमान है
देखो अरमान है
अपनी दुनिया का हूँ मैं हसीं नौजवाँ
मैं गरीबों का दिल …

कारवाँ ज़िंदगानी का रुकता नहीं
बादशाहों के आगे ये झुकता नहीं
चाँद तारों से आगे मेरा आशियाँ
मैं गरीबों का दिल …

maiṅ garīboṅ kā dil, maiṅ machaltī sabāṇ
beksoṅ ke liye, pyār kā āśhiyāṇ
maiṅ garīboṅ kā dil …

maiṅ jo gātā chalā, sāth mahafil chale
maiṅ jo baṛhtā chalā, sāth maṅzil chale
mujhe rāh dikhātī chale bijliyāṇ
maiṅ garīboṅ kā dil …

husn bhī dekh kar mujhko hairān hai
iśhq ko mujhse milne kā armān hai
dekho armān hai
apnī duniyā kā hūṇ maiṅ hasīṅ naujvāṇ
maiṅ garīboṅ kā dil …

kārvāṇ ziṅdgānī kā ruktā nahīṅ
bādśhāhoṅ ke āge ye jhuktā nahīṅ
chāṇd tāroṅ se āge merā āśhiyāṇ
maiṅ garīboṅ kā dil …