Main gaaoon tum gaao khushiyon ke rang chhalkaao

मैं गाऊँ तुम गाओ ख़ुशियों के रंग छलकाओ
Work
Year
Language

शा: मैं गाऊँ तुम गाओ ख़ुशियों के रंग छलकाओ -2
म: ( नई राहें खोले हैं बाँहें
तो क्‌यों ना चाहें ये निगाहें कोई साथी भी नया ) -2
उ: ये अरमाँ
कितने सपने दिखलाते हैं
कैसे-कैसे तड़पाते हैं
दुनिया में कोई जाने ना हो
म: मैं गाऊँ तुम गाओ … छलकाओ
शा: मैं गाऊँ तुम गाओ … छलकाओ

त न ना ना -4
हूँ हूँ -2

शा: पाई जो ये ख़ुशी है हैरानी हो रही है
बात ऐसी हो गई है जिसकी उम्मीद दिल को न थी
म: उम्मीदें हों भी तो क्‌या होगा वो है जो होना
दुनिया में किसने जाना कब दिखाएगी क्‌या ज़िन्दगी
शा: मेरे अरमाँ बन बन के तूफ़ाँ करते परेशाँ
अब आसाँ मेरा जीना हो गया
म: ये अरमाँ
कितने सपने … कोई जाने ना ओ हो
शा: मैं गाऊँ तुम गाओ … छलकाओ
म: मैं गाऊँ तुम गाओ … छलकाओ

म: देखो है शाम रंगीं हाथों में जाम रंगीं
अब कोई नाम रंगीं सोच
ओ इस रंगीं अफ़साने का
उ: अफ़साने ये हैं दिल के अनजाने लोग मिल के
ये मानें फूल खिल के रस्ता तकता है मुरझाने का
म: सुन प्यारे दिल में हमारे अरमाँ हैं सारे पुकारें
बता दूँ तो है क्‌या
को: ये अरमाँ
उ: कितने सपने … कोई जाने ना हो
को: मैं गाऊँ तुम गाओ … छलकाओ -2
म: नई राहें … साथी भी नया
उ: ये अरमान
कितने सपने … कोई जाने ना हो
म: ये अरमाँ
कितने सपने … कोई जाने ना जाने ना
उ: मैं गाऊँ तुम गाओ … छलकाओ
को: मैं गाऊँ तुम गाओ … छलकाओ -4

śhā: maiṅ gāūṇ tum gāo khuśhiyoṅ ke raṅg chhalkāo -2
ma: ( naī rāheṅ khole haiṅ bāṇheṅ
to k‌yoṅ nā chāheṅ ye nigāheṅ koī sāthī bhī nayā ) -2
u: ye armāṇ
kitne sapne dikhlāte haiṅ
kaise-kaise taṛpāte haiṅ
duniyā meṅ koī jāne nā ho
ma: maiṅ gāūṇ tum gāo … chhalkāo
śhā: maiṅ gāūṇ tum gāo … chhalkāo

ta na nā nā -4
hūṇ hūṇ -2

śhā: pāī jo ye khuśhī hai hairānī ho rahī hai
bāt aisī ho gaī hai jiskī ummīd dil ko na thī
ma: ummīdeṅ hoṅ bhī to k‌yā hogā vo hai jo honā
duniyā meṅ kisne jānā kab dikhāegī k‌yā zindgī
śhā: mere armāṇ ban ban ke tūfāṇ karte pareśhāṇ
ab āsāṇ merā jīnā ho gayā
ma: ye armāṇ
kitne sapne … koī jāne nā o ho
śhā: maiṅ gāūṇ tum gāo … chhalkāo
ma: maiṅ gāūṇ tum gāo … chhalkāo

ma: dekho hai śhām raṅgīṅ hāthoṅ meṅ jām raṅgīṅ
ab koī nām raṅgīṅ soch
o is raṅgīṅ afsāne kā
u: afsāne ye haiṅ dil ke anjāne log mil ke
ye māneṅ phūl khil ke rastā taktā hai murjhāne kā
ma: sun pyāre dil meṅ hamāre armāṇ haiṅ sāre pukāreṅ
batā dūṇ to hai k‌yā
ko: ye armāṇ
u: kitne sapne … koī jāne nā ho
ko: maiṅ gāūṇ tum gāo … chhalkāo -2
ma: naī rāheṅ … sāthī bhī nayā
u: ye armān
kitne sapne … koī jāne nā ho
ma: ye armāṇ
kitne sapne … koī jāne nā jāne nā
u: maiṅ gāūṇ tum gāo … chhalkāo
ko: maiṅ gāūṇ tum gāo … chhalkāo -4