Main bevafaa naheen hoon tere pyaar kee qasam

मैं बेवफ़ा नहीं हूँ तेरे प्यार की क़सम्
Year
Language

मैं बेवफ़ा नहीं हूँ तेरे प्यार की क़सम
इकरार जो किया है उसी इकरार की क़सम
मैं बेवफ़ा नहीं …

माना हमारे प्यार का आलम बदल गया
अपने ही दिल की आग से काशाना जल गया
दिल फिर भी है वो ही तेरे दीदार की क़सम
मैं बेवफ़ा नहीं …

उल्फ़त के फूल गिर गए क़िस्मत की धूल में
ख़ुश्बू है तेरे साँस की हर एक फूल में
इस प्यार के लुटे हुए गुलज़ार की क़सम
मैं बेवफ़ा नहीं …

maiṅ bevafā nahīṅ hūṇ tere pyār kī qasam
ikrār jo kiyā hai usī ikrār kī qasam
maiṅ bevafā nahīṅ …

mānā hamāre pyār kā ālam badal gayā
apne hī dil kī āg se kāśhānā jal gayā
dil phir bhī hai vo hī tere dīdār kī qasam
maiṅ bevafā nahīṅ …

ulfat ke phūl gir gae qismat kī dhūl meṅ
khuśhbū hai tere sāṇs kī har ek phūl meṅ
is pyār ke luṭe hue gulazār kī qasam
maiṅ bevafā nahīṅ …