Main abhee ghair hoon mujhko abhee

मैं अभी ग़ैर हूँ मुझको अभी
Year
Language

आ: मैं अभी ग़ैर हूँ मुझको अभी अपना न कहो
मु: हाय मर जाएंगे मिट जाएंगे ऐसा न कहो
आ: मैं अभी ग़ैर हूँ …

मु: दिल की धड़कन की तरह दिल में बसी रहती हो
ख़्वाब बन कर मेरी पलकों पे सजी रहती हो
क्‌या कहूँ तुमको अगर जान-ए-तमन्ना न कहूँ
आ: मैं अभी ग़ैर हूँ …

यूँ न देखो के मेरी साँस रुकी जाती है
जो नज़र उठती है शरमा के झुक जाती है
मेरी नज़रों को मेरे दिल का तक़ाज़ा न कहो
मु: हाय मर जाएंगे …

राज़ क्‌यूँ राज़ रहे इसकी ज़रूरत क्‌या है
हमसे दामन न छुड़ाओ ये क़यामत क्‌या है
हम तो कहते हैं हमें शौक़ से दीवाना कहो
आ: मैं अभी ग़ैर हूँ …
मु: हाय मर जाएंगे …

ā: maiṅ abhī ġhair hūṇ mujhko abhī apnā na kaho
mu: hāy mar jāeṅge miṭ jāeṅge aisā na kaho
ā: maiṅ abhī ġhair hūṇ …

mu: dil kī dhaṛkan kī tarah dil meṅ basī rahtī ho
khvāb ban kar merī palkoṅ pe sajī rahtī ho
k‌yā kahūṇ tumko agar jān-e-tamannā na kahūṇ
ā: maiṅ abhī ġhair hūṇ …

yūṇ na dekho ke merī sāṇs rukī jātī hai
jo nazar uṭhtī hai śharmā ke jhuk jātī hai
merī nazroṅ ko mere dil kā taqāzā na kaho
mu: hāy mar jāeṅge …

rāz k‌yūṇ rāz rahe iskī zarūrat k‌yā hai
hamse dāman na chhuṛāo ye qayāmat k‌yā hai
ham to kahte haiṅ hameṅ śhauq se dīvānā kaho
ā: maiṅ abhī ġhair hūṇ …
mu: hāy mar jāeṅge …