अब रंज से खुशी से बहार-ओ-ख़िज़ा से क्या
मह्व-ए-ख़याल यार हैं हम को जहाँ से क्या
उनका ख़याल उनकी तलB उनकी आरज़ू
जिस दिल में वो हो, माँगे किसी महरबाँ से क्या
हम ने चिराग़ रख दिया तूफ़ाँ के सामने
पीछे हटेगा इश्क़ किसी इम्तहाँ से क्या
कोई चले चले न चले हम तो चल पड़े
मंज़िल की धुन हो जिसको उसे कारवाँ से क्या
ये बात सोचने की है वो हो के महरबाँ
पूछेंगे हाल-ए-दिल तो कहेंगे ज़बाँ से क्या
ab raṅj se khuśhī se bahār-o-khizā se kyā
mahv-e-khayāl yār haiṅ ham ko jahāṇ se kyā
unkā khayāl unkī talB unkī ārazū
jis dil meṅ vo ho, māṇge kisī maharbāṇ se kyā
ham ne chirāġh rakh diyā tūfāṇ ke sāmne
pīchhe haṭegā iśhq kisī imthāṇ se kyā
koī chale chale na chale ham to chal paṛe
maṅzil kī dhun ho jisko use kārvāṇ se kyā
ye bāt sochne kī hai vo ho ke maharbāṇ
pūchheṅge hāl-e-dil to kaheṅge zabāṇ se kyā