dhānī chunar morī hāy re
dhānī chunar morī hāy re
jāne kahāṇ uṛī jāye re
dhānī chunar morī hāy re …
āj mere āṇchal se kyoṅ lipaṭtī jāye
jīvan kī bagiyā meṅ ye kisne phūl khilāye
nas nas meṅ ḍol ke ghūṇghaṭ paṭ khol ke
āj khuśhī lahrāye re
dhānī chunar morī hāy re …
jhūm rahe haiṅ sapne do āṇkhoṅ meṅ lahrāke
man hī man muskāūṇ maiṅ nayī ḍagar piyā ke
pag pag aṅjān hai nazar hairān hai
bāt magar man bhāye re
dhānī chunar morī hāy re …
chaṅchal man ye kāhe maiṅ uṛtī uṛtī jāūṇ
o nīl gagan par jāke chaṅdā ko gale lagāūṇ
sudh budh bisrā gaye ye din kaise ā gaye
koī mujhe samjhāye re
dhānī chunar morī hāy re …