Madabhree ye havaaen paas aaen

मदभरी ये हवाएं पास आएं
Year
Language

मदभरी ये हवाएं पास आएं
नाम लेकर मुझको ये बुलाएं
मदभरी ये हवाएं

मैं ने रातों से कर ली दोस्ती तारों के लिये
और चुरा के लिया मैंने ये दिन बहारों के लिये
ऐ ज़मीं आसमां मुझको दो दुआएं
मदभरी ये हवाएं

मैंने लहरों की बाहें थाम कर ढूंढे हैं भ्ंवर
साहिलों पे किसी अजनबी की तलाशी है डगर
काश ले कर उन्हें लहरें लौट आएं
मदभरी ये हवाएं

madabhrī ye havāeṅ pās āeṅ
nām lekar mujhko ye bulāeṅ
madabhrī ye havāeṅ

maiṅ ne rātoṅ se kar lī dostī tāroṅ ke liye
aur churā ke liyā maiṅne ye din bahāroṅ ke liye
ai zamīṅ āsmāṅ mujhko do duāeṅ
madabhrī ye havāeṅ

maiṅne lahroṅ kī bāheṅ thām kar ḍhūṅḍhe haiṅ bhṅvar
sāhiloṅ pe kisī ajanbī kī talāśhī hai ḍagar
kāśh le kar unheṅ lahreṅ lauṭ āeṅ
madabhrī ye havāeṅ