Machal ke jab bhee aankhon se chhalak jaate hain do aansoo

मचल के जब भी आँखों से छलक जाते हैं दो आँसू
Year
Language

मचल के जब भी आँखों से छलक जाते हैं दो आँसू
सुना है आबशारों को बड़ी तक़लीफ़ होती है

खुदारा अब तो बुझ जाने दो इस जलती हुई लौ को
चरागों से मज़ारों को बड़ी तक़लीफ़ होती है, मचल …

कहूँ क्‌या वो बड़ी मासूमियत से पूछ बैठे हैं
क्‌या सचमुच दिल के मारों को बड़ी तक़लीफ़ होती है
मचल …

तुम्हारा क्‌या तुम्हें तो राह दे देते हैं काँटे भी
मगर हम ख़ाकज़ारों को बड़ी तक़लीफ़ होती है
मचल …

machal ke jab bhī āṇkhoṅ se chhalak jāte haiṅ do āṇsū
sunā hai ābśhāroṅ ko baṛī taqlīf hotī hai

khudārā ab to bujh jāne do is jaltī huī lau ko
charāgoṅ se mazāroṅ ko baṛī taqlīf hotī hai, machal …

kahūṇ k‌yā vo baṛī māsūmiyat se pūchh baiṭhe haiṅ
k‌yā sachmuch dil ke māroṅ ko baṛī taqlīf hotī hai
machal …

tumhārā k‌yā tumheṅ to rāh de dete haiṅ kāṇṭe bhī
magar ham khākazāroṅ ko baṛī taqlīf hotī hai
machal …