Maathe pe chamke iske ... meraa yaar dildaar baraa sonaa

माथे पे चमके इसके ... मेरा यार दिलदार बड़ा सोणा
Work
Year
Language

चिका चिका चिक चिक
माथे पे चमके इसके सूरज की लाली
होंठों से छलके देखो मस्ती की प्याली
बलखाए ऐसे जैसे चम्पा की डाली
इसकी अदाएं सारे जग से निराली
मेरा यार दिलदार बड़ा सोणा
मैं देखूं बार बार इसको

किरणें लुटाएं देखो चारों दिशाएं
खुश्बू का झोंका ले के आएं हवाएं
चाहत के रंगों से हैं रंगीं फ़िज़ाएं
सारे जहाँ से कहती मेरी निगाहें
मेरा यार दिलदार बड़ा सोणा
मैं दे दूं सारा प्यार इसको

माही मेरा माही मेरी जिंद मेरी जान वे
तेरी इस अदा पे हो गया मैं क़ुर्बान वे
चिका चिका चिक चिक

गोरे गोरे रंग इसके नीले नीले नैना
देखे बिना अब तो कहीं आए नहीं चैना
हाय रेशम जैसे अंग इसके गेसू जैसे बादल
दिल को दीवाना करे धानी धानी आँचल
शोख बहारों सी लगती है इसकी हर अंगड़ाई
हो मेरा यार दिलदार …

ढोल सजणा है दुनिया बड़ी बेपीर वे
बिछड़ेगी रांझणा से कभी भी न हीर वे

शहनाई की सरगमों सी मीठी तेरी बातें
देखूं मैं ख्वाबों में शादी डोली बारातें
यारा तेरे साथ मेरी शाम है सिंदूरी
ना तो कोई प्यास है ना चाहत है अधूरी
सौं रब दी इक पल भी अब तो सहनी नहीं जुदाई
मेरा यार दिलदार …

chikā chikā chik chik
māthe pe chamke iske sūraj kī lālī
hoṅṭhoṅ se chhalke dekho mastī kī pyālī
balkhāe aise jaise champā kī ḍālī
iskī adāeṅ sāre jag se nirālī
merā yār dildār baṛā soṇā
maiṅ dekhūṅ bār bār isko

kirṇeṅ luṭāeṅ dekho chāroṅ diśhāeṅ
khuśhbū kā jhoṅkā le ke āeṅ havāeṅ
chāhat ke raṅgoṅ se haiṅ raṅgīṅ fizāeṅ
sāre jahāṇ se kahtī merī nigāheṅ
merā yār dildār baṛā soṇā
maiṅ de dūṅ sārā pyār isko

māhī merā māhī merī jiṅd merī jān ve
terī is adā pe ho gayā maiṅ qurbān ve
chikā chikā chik chik

gore gore raṅg iske nīle nīle nainā
dekhe binā ab to kahīṅ āe nahīṅ chainā
hāy reśham jaise aṅg iske gesū jaise bādal
dil ko dīvānā kare dhānī dhānī āṇchal
śhokh bahāroṅ sī lagtī hai iskī har aṅgaṛāī
ho merā yār dildār …

ḍhol sajṇā hai duniyā baṛī bepīr ve
bichhaṛegī rāṅjhṇā se kabhī bhī na hīr ve

śhahnāī kī saragmoṅ sī mīṭhī terī bāteṅ
dekhūṅ maiṅ khvāboṅ meṅ śhādī ḍolī bārāteṅ
yārā tere sāth merī śhām hai siṅdūrī
nā to koī pyās hai nā chāhat hai adhūrī
sauṅ rab dī ik pal bhī ab to sahnī nahīṅ judāī
merā yār dildār …