Maanaa aaj ghaayal teraa zameer hai

माना आज घायल तेरा ज़मीर है
Work
Year
Language

माना आज घायल तेरा ज़मीर है
दोष नहीं तेरा दोषी मेरी तकदीर है
जो न पढ़ सका कोई ये वो तहरीर है
ये जो है मुकद्दर ये तो पत्थर पे लकीर है
किसने यहाँ देखा किस्मत का लेखा
कौन यहाँ होनी को होने से टाल सका
जान सका है ये कौन यहाँ
ले जाए किसको नसीब कहाँ

mānā āj ghāyal terā zamīr hai
doṣh nahīṅ terā doṣhī merī takdīr hai
jo na paṛh sakā koī ye vo tahrīr hai
ye jo hai mukaddar ye to patthar pe lakīr hai
kisne yahāṇ dekhā kismat kā lekhā
kaun yahāṇ honī ko hone se ṭāl sakā
jān sakā hai ye kaun yahāṇ
le jāe kisko nasīb kahāṇ