Maaf bhee kar do yaar ... tumko aataa hai gussaa

माफ़ भी कर दो यार ... तुमको आता है गुस्सा
Year
Language

माफ़ भी कर दो यार माफ़ करो सरकार अरे
तुमको आता है गुस्सा हमको आता है प्यार
माफ़ भी कर दो …

ख्वाब देखें फूलों के बोल हैं काँटों जैसे
साफ़ करें हम दिल कैसे माफ़ करें हम कैसे
छोड़ो ना छोड़ो ना ज़िद ये छोड़ो ना
दिलरुबा दिल मेरा हाय ऐसे तोड़ो ना
न न न मैं नहीं मानती हाथ जोड़ो ना
हे तुमको आता है गुस्सा …

प्यार है कितना चीर के दिल तुम्हें दिखाया जाए
तुम्हीं बता दो अब तुमको कैसे मनाया जाए
हूं सब पता चल गया झूठा है ये प्यार
अब मुझे रोकना है नहीं आसान
हां तुम कहो तो अभी दे दूं अपनी जान
तुमको आता है गुस्सा …

māf bhī kar do yār māf karo sarkār are
tumko ātā hai gussā hamko ātā hai pyār
māf bhī kar do …

khvāb dekheṅ phūloṅ ke bol haiṅ kāṇṭoṅ jaise
sāf kareṅ ham dil kaise māf kareṅ ham kaise
chhoṛo nā chhoṛo nā zid ye chhoṛo nā
dilrubā dil merā hāy aise toṛo nā
na na na maiṅ nahīṅ māntī hāth joṛo nā
he tumko ātā hai gussā …

pyār hai kitnā chīr ke dil tumheṅ dikhāyā jāe
tumhīṅ batā do ab tumko kaise manāyā jāe
hūṅ sab patā chal gayā jhūṭhā hai ye pyār
ab mujhe roknā hai nahīṅ āsān
hāṅ tum kaho to abhī de dūṅ apnī jān
tumko ātā hai gussā …