chhoṛ āe ham vo galiyāṇ
jahāṇ tere pairo ke kṇval girā karte the
hṇse to do gāloṅ meṅ bhṇvar paṛā karte the
tere kamar ke bal pe, nadī mūḍā kartī thī
hṇsī terī sunsūn ke phasal pakā kartī thī
jahāṇ terī eḍī se dhūp uṛā kartī thī
sūnā hai us chaukhaṭ pe ab śhām rahā kartī hai
laṭoṅ se uljhī lipṭī ek rāt huā kartī thī
kabhī kabhī takiye pe vo bhī milā kartī hai
dil dard kā ṭukaṛā hai, patthar kī ḍālī sī hai
ek aṇdhā kuāṇ hai yā ek baṅd galī sī hai
ek chhoṭā lamhā hai jo khatm nahīṅ hotā
maiṅ lākh jalātā hūṇ, vo bhasm nahīṅ hotā