Lut gayaa mere sapnon kaa deraa

लुट गया मेरे सपनों का डेरा
Year
Language

लुट गया मेरे सपनों का डेरा
कैसा इंसाफ़ मालिक ये तेरा -2

फूल खिलने न पाए थे दिल के
हो गए हम जुदा तुमसे मिल के
कर लिया ग़म ने दिल में बसेरा
लुट गया मेरे …

खेल दुनिया ने कैसा ये खेला -2
हो गया आज साथी अकेला
लुट गया मेरे …

झुक गया प्यार दौलत के आगे
पड़ गए कच्चे उल्फ़त के धागे
और तड़पता रहा प्यार मेरा
लुट गया मेरे …

luṭ gayā mere sapnoṅ kā ḍerā
kaisā iṅsāf mālik ye terā -2

phūl khilne na pāe the dil ke
ho gae ham judā tumse mil ke
kar liyā ġham ne dil meṅ baserā
luṭ gayā mere …

khel duniyā ne kaisā ye khelā -2
ho gayā āj sāthī akelā
luṭ gayā mere …

jhuk gayā pyār daulat ke āge
paṛ gae kachche ulfat ke dhāge
aur taṛaptā rahā pyār merā
luṭ gayā mere …