chorī chorī chupke se āke merī āṇkhoṅ meṅ samā jā
dhīre dhīre sapnoṅ kī sunī sunī duniyā basā jā
aise satā nā, hārī maiṅ hārī
ye terī bāteṅ, jhūṭhī haiṅ sārī
ye jid hai burī, koī riśhtā to joḍ de, koī riśhtā to joḍ de
chal jāne bhī de, merī bāheṅ chhoḍ de, merī bāheṅ to chhoḍ de
isī to adā pe merā dīvānā dil dhaḍke
tere jaise hī hote haiṅ kyā sab laḍke
tujh ko kasam merī hāth chhuḍāke ab nā jā
yūṇ bītī jāe apne milne kī ghaḍī, apne milne kī ye ghaḍīṅ
maiṅ bolū to kyā kaisī muśhkil ā paḍī, kaisī muśhkil ye ā paḍī
dil kahtā hai kisī dūjī se dil lagāūṇ
aisā kare to khā ke ye jahar maiṅ mar jāūṇ
rājkumārī kā banūṅgā maiṅ to sapnoṅ kā rājā
tere jaise lākhoṅ mere āge pīchhe hoṅgī tū jā jā
nā bābā nā re, nā de sajā re
ā ke mujhe tū garvāṅ lagā re
chorī chorī chupke se āke merī āṇkhoṅ meṅ samā jā
dhīre dhīre sapnoṅ kī sunī sunī duniyā basā jā
sochā nahī thā aise milegī ek dūsre se rāheṅ hamārī