nā ho kal jab sārī duniyā bolo phir kyā karogī -2
in āṇkho se tab dekheṅge nīle ambar ko ham bhī
chūmeṅge ham is dhartī ko pyār se rukhsat le leṅge
phir sīne pe tere sar rakh deṅge terī umar kī duā māṇgeṅge
nā ho kal jab sārī duniyā bolo phir kyā karogī
ujaṛne lagegī ujaṛne lagegī kal jab duniyā bolo phir kyā karoge
ek-ek pal hai sau jīvan sā tū jo sāth hai mere
haiṅ do dil apne par ek jāṇ ham maut bhī mar jāye ham pe
māṇgūṇ khudā se tujhko hī maiṅ sāre jahāṇ ko bhulā ke
nā ho kal jab sārī duniyā bolo phir kyā karogī -2
in āṇkho se tab dekheṅge nīle ambar ko ham bhī
chūmeṅge ham is dhartī ko pyār se rukhsat le leṅge
phir sīne pe tere sar rakh deṅge terī umar kī duā māṇgeṅge
nā ho kal jab sārī duniyā bolo phir kyā karogī
chāhat jab tak hai duniyā meṅ duniyā nahīṅ miṭegī
kāṇṭe chāheṅ kitne bhī hoṅ kaliyāṇ khiltī raheṅgī
lākhoṅ tūfāṇ āyeṅ chāheṅ kārvāṇ chaltā rahegā
miṭṭī kā ye jism maregā pyār to ziṅdā rahegā
nā ho kal jab sārī duniyā bolo phir kyā karogī -2
raheṅ nā raheṅ ham is duniyā meṅ yādoṅ meṅ terī raheṅge
dūr se hī ham us duniyā meṅ tujhko dekhā kareṅge
jītī rahe tū utne dinoṅ tak jitne ambar pe tāre
nā ho kal jab sārī duniyā bolo phir kyā karogī