Lo chehraa surkh sharaab huaa aankhon ne saaghar

लो चेहरा सुर्ख़ शराब हुआ आँखों ने साग़र्
Year
Language

लो चेहरा सुर्ख़ शराब हुआ आँखों ने साग़र छलकाया -2
ये गुस्सा हाय ये गुस्सा तेरा सुभान-अल्लाह
इक हुस्न का दरिया चढ़ आया
लो चेहरा सुर्ख़ शराब …

ये गर्म निग़ाह तौबा-तौबा पत्थर में भी आग भड़क उठे
( उस दिल का ख़ुदा ही हाफ़िज़ है ) -2 जो तेरी नज़र से टकराया
ये गुस्सा …

देखो तो ज़रा तुम मौसम को मौसम भी लरज़ता है डर से
वो ख़ौफ़ से बिजली काँप उठी बादल का जोश उतर आया
ये गुस्सा …

क्‌यों आग बबूला होते हो अब छोड़ो ऐसे गुस्से को
होंठों की लाली कहती है इक शोला लब तक बढ़ आया
ये गुस्सा …

lo chehrā surkh śharāb huā āṇkhoṅ ne sāġhar chhalkāyā -2
ye gussā hāy ye gussā terā subhān-allāh
ik husn kā dariyā chaṛh āyā
lo chehrā surkh śharāb …

ye garm niġhāh taubā-taubā patthar meṅ bhī āg bhaṛak uṭhe
( us dil kā khudā hī hāfiz hai ) -2 jo terī nazar se ṭakrāyā
ye gussā …

dekho to zarā tum mausam ko mausam bhī laraztā hai ḍar se
vo khauf se bijlī kāṇp uṭhī bādal kā jośh utar āyā
ye gussā …

k‌yoṅ āg babūlā hote ho ab chhoṛo aise gusse ko
hoṅṭhoṅ kī lālī kahtī hai ik śholā lab tak baṛh āyā
ye gussā …