Lo aa gayee unkee yaad, vo naheen aaye

लो आ गयी उनकी याद, वो नहीं आये
Work
Year
Language

लो आ गयी उनकी याद, वो नहीं आये

दिल उनको ढूँढ़ता है, ग़म का सिंगार कर के
आँखें भी थक गयी हैं, अब इंतज़ार कर के -2
इक साँस रह गयी है, वो भी न टूट जाये
लो आ गयी उनकी याद …

रोती हैं आज हम पर, तनहाइयाँ हमारीं
वो भी न पाये शायद, परछाइयाँ हमारीं
बढ़ते ही जा रहे हैं, मायूसियों के साये
लो आ गयी उनकी याद …

लौ थरथरा रही है, अब शम्म-ए-ज़िंदगी की
उजड़ी हुई मुहब्बत, मेहमाँ है दो घड़ी की
मर कर ही अब मिलेंगे, जी कर तो मिल न पाये
लो आ गयी उनकी याद …

lo ā gayī unkī yād, vo nahīṅ āye

dil unko ḍhūṇṛhtā hai, ġham kā siṅgār kar ke
āṇkheṅ bhī thak gayī haiṅ, ab iṅtazār kar ke -2
ik sāṇs rah gayī hai, vo bhī na ṭūṭ jāye
lo ā gayī unkī yād …

rotī haiṅ āj ham par, tanhāiyāṇ hamārīṅ
vo bhī na pāye śhāyad, parchhāiyāṇ hamārīṅ
baṛhte hī jā rahe haiṅ, māyūsiyoṅ ke sāye
lo ā gayī unkī yād …

lau tharathrā rahī hai, ab śhamm-e-ziṅdgī kī
ujaṛī huī muhabbat, mehmāṇ hai do ghaṛī kī
mar kar hī ab mileṅge, jī kar to mil na pāye
lo ā gayī unkī yād …