merā raṅg de
merā raṅg de basantī cholā mā ai raṅg de
merā raṅg de basantī chol mā ai raṅg de
merā raṅg de basantī chol raṅg de raṅg de
raṅg de basantī chol mā ai raṅg de
nikle haiṅ vīr jiyāle yūṇ apan sīnā tāne
hṇs-hṇs ke jān luṭāne āzād saverā lāne
mar ke kaise jīte haiṅ is duniyā ko batlāne
tere lāl chale haiṅ mā ai ab terī lāj bachāne
āzādī kā śholā ban ke khūn ragoṅ meṅ ḍolā
din āj kā baṛā suhānā mausam bhī baṛā sunahrā
ham sar pe bāṇdh ke āye balidānoṅ kā ye sehrā
betāb hamāre dil meṅ ek mastī sī chhāī hai
ai deśh alvidā tujhko kahne kī ghaṛī āī hai
mahkeṅge terī fizā meṅ ham ban ke havā kā jhoṅkā
qismat vāloṅ ko miltā aise marne kā mauqā
niklī hai bārāt sajā hai iṅquilāb kā ḍolā
%(it is the marital procession, and the bridal palanquin has bīn adorned to bring the change)