dil se niklegī nā mar kar bhī vatan kī ulfat
merī miṭṭī se bhī khuśhbū-e-vatan āyegī
des mere des mere merī jān hai tū -2
des mere des mere merī śhān hai tū -2
sunāī thī jo bachapan meṅ vo hī lorī sunā de māṇ
tū apnī god meṅ ab chain se mujh ko sulā de māṇ
tere charṇoṅ meṅ sab kuchh ham luṭāne se nahīṅ ḍarte
des mere des mere merī jān hai tū -2
des mere des mere merī śhān hai tū -2
miṭāne se nahīṅ miṭte ḍarāne se nahīṅ ḍarte
vatan ke nām pe ham sar kaṭāne se nahīṅ ḍarte
hazāroṅ khvāb rośhan haiṅ sulagtī sī nigāhoṅ meṅ
qafan ham bāṇdh ke nikle haiṅ āzādī kī rāhoṅ meṅ
niśhāne pe jo rahte haiṅ niśhāne se nahīṅ ḍarte
hamārī ek manzil hai hamārā ek nārā hai
dharam se jāt se jyādā hameṅ ye mulq pyārā hai
ham is pe zindgī apnī luṭāne se nahīṅ ḍarte
qasam tum ko vatan vāloṅ kabhī māyūs mat honā
manānā jaśhn-e-āzādī na mere vāste ronā
nigāheṅ maut se bhī ham milāne se nahīṅ ḍarte
%(ve do not get afraid lūking eyeballs to eyeballs vith death)