Le lo le lo duaaen maan baap kee

ले लो ले लो दुआएं माँ बाप की
Work
Year
Language

ले लो ले लो दुआएं माँ बाप की
सर से उतरेगी गठरी पाप की
ले लो ले लो दुआएं …

गोद में माँ की आँख खुली
जग देखा बाप के कंधे चढ़ के
सेवा बड़ी न होगी कोई
इन दोनों की सेवा से बढ़के
ले लो ले लो दुआएं …

दुख सहना माँ बाप की ख़ातिर
फ़र्ज़ तो है एहसान नहीं
कर्ज़ है इनका तेरे सर पर
भिक्षा या कोई दान नहीं
ले लो ले लो दुआएं …

मात-पिता कि चरण छुए जो
चार धाम तीरथ फल पाए
जो आशीष वो दिल से दें
भगवान से भी टाली ना जाए
ले लो ले लो दुआएं …

le lo le lo duāeṅ māṇ bāp kī
sar se utregī gaṭhrī pāp kī
le lo le lo duāeṅ …

god meṅ māṇ kī āṇkh khulī
jag dekhā bāp ke kaṅdhe chaṛh ke
sevā baṛī na hogī koī
in donoṅ kī sevā se baṛhke
le lo le lo duāeṅ …

dukh sahnā māṇ bāp kī khātir
farz to hai ehsān nahīṅ
karz hai inkā tere sar par
bhikṣhā yā koī dān nahīṅ
le lo le lo duāeṅ …

māt-pitā ki charaṇ chhue jo
chār dhām tīrath phal pāe
jo āśhīṣh vo dil se deṅ
bhagvān se bhī ṭālī nā jāe
le lo le lo duāeṅ …