Le ke sahaaraa tere pyaar kaa dekhe rastaa

ले के सहारा तेरे प्यार का देखे रस्ता
Year
Language

ले के सहारा तेरे प्यार का
देखे रस्ता तेरा हाय कोई बेक़रार सा

खिली तो है डाली-डाली कली तेरी याद की
मगर तेरे ग़म का शोला लगाता है आग सी -2
सनम है सुहाना ज़माना ये बहार का
ले के सहारा तेरे …

दिल ही मिला ऐसा हमको नसीब से
बहले न देखे बिना तुझको करीब से -2
कहे है दीवाना दीवाना मैं हूँ यार का
ले के सहारा तेरे …

कभी घर से बाहर आके मेरी चाहत देखते
पथरा गए दो नैना तेरी राह देखते -2
ज़रा सुन के जाना अफ़साना इन्तज़ार का
ले के सहारा तेरे …

le ke sahārā tere pyār kā
dekhe rastā terā hāy koī beqrār sā

khilī to hai ḍālī-ḍālī kalī terī yād kī
magar tere ġham kā śholā lagātā hai āg sī -2
sanam hai suhānā zamānā ye bahār kā
le ke sahārā tere …

dil hī milā aisā hamko nasīb se
bahle na dekhe binā tujhko karīb se -2
kahe hai dīvānā dīvānā maiṅ hūṇ yār kā
le ke sahārā tere …

kabhī ghar se bāhar āke merī chāhat dekhte
pathrā gae do nainā terī rāh dekhte -2
zarā sun ke jānā afsānā intazār kā
le ke sahārā tere …