ले चल मेरे जीवन साथी ... प्यार ही प्यार है जहां
ले चल
ले चल मेरे जीवन साथी
ले चल मुझे उस दुनिया में
प्यार ही प्यार है जहां
हम तुम हम तुम जन्मों के साथी
हम तुम हैं जिस दुनिया में
प्यार ही प्यार है वहां
ले चल ले चल मेरे …
जब से नज़र में आप बसे हैं
मस्ती सी छाई आँखों में
छाई रहे ये मस्ती
बस जाए दिल की बस्ती
महकी रहें ये वादियां
ले चल ले चल मेरे …
प्रीत का बन्धन बांध के तुमने
प्रीत पे ही उपकार किया है
अब ये बन्धन न टूटे
युग युग ये साथ न छूटे
चलता रहे यूं कारवां
ले चल ले चल मेरे …
le chal
le chal mere jīvan sāthī
le chal mujhe us duniyā meṅ
pyār hī pyār hai jahāṅ
ham tum ham tum janmoṅ ke sāthī
ham tum haiṅ jis duniyā meṅ
pyār hī pyār hai vahāṅ
le chal le chal mere …
jab se nazar meṅ āp base haiṅ
mastī sī chhāī āṇkhoṅ meṅ
chhāī rahe ye mastī
bas jāe dil kī bastī
mahkī raheṅ ye vādiyāṅ
le chal le chal mere …
prīt kā bandhan bāṅdh ke tumne
prīt pe hī upkār kiyā hai
ab ye bandhan na ṭūṭe
yug yug ye sāth na chhūṭe
chaltā rahe yūṅ kārvāṅ
le chal le chal mere …