Lallaa lallaa loree doodh kee katoree

लल्ला लल्ला लोरी दूध की कटोरी
Work
Year
Language

लल्ला लल्ला लोरी दूध की कटोरी
दूध में बताशा मुन्नी करे तमाशा

छोटी-छोटी प्यारी सुन्दर परियों जैसी है
किसी की नज़र ना लगे मेरी मुन्नी ऐसी है
शहद से भी मीठी दूध से भी गोरी
चुपके-चुपके चोरी-चोरी चोरी
लल्ला लल्ला लोरी …

कारी रैना के माथे पे चमके चाँद सी बिंदिया
मुन्नी के छोटे-छोटे नैनों में खेले निंदिया
सपनों का पलना आशाओं की डोरी
चुपके-चुपके चोरी-चोरी चोरी
लल्ला लल्ला लोरी …
लल्ला लल्ला लोरी दूध की कटोरी
दूध में बताशा जीवन खेल तमाशा

lallā lallā lorī dūdh kī kaṭorī
dūdh meṅ batāśhā munnī kare tamāśhā

chhoṭī-chhoṭī pyārī sundar pariyoṅ jaisī hai
kisī kī nazar nā lage merī munnī aisī hai
śhahad se bhī mīṭhī dūdh se bhī gorī
chupke-chupke chorī-chorī chorī
lallā lallā lorī …

kārī rainā ke māthe pe chamke chāṇd sī biṅdiyā
munnī ke chhoṭe-chhoṭe nainoṅ meṅ khele niṅdiyā
sapnoṅ kā palnā āśhāoṅ kī ḍorī
chupke-chupke chorī-chorī chorī
lallā lallā lorī …
lallā lallā lorī dūdh kī kaṭorī
dūdh meṅ batāśhā jīvan khel tamāśhā