agar maiṅ kahūṇ, mujhe tumse mohobbat hai
merī bas yahī chāhat hai, to kyā kahogī
maiṅ tumse kahūṅgī,
is bāt ko agar tum, jarā aur sajāke kahte
jarā ghumā phirā ke kahte, to achchhā hotā
agar maiṅ kahūṇ,
tumko jab dekhū lagtī ho jaise naī, hoṅṭh haiṅ paṅkhḍī phūl kī
āṇkheṅ jaise jugnū chamakte hue, soche merā ye dil dhaḍakte hue
agar maiṅ kahūṇ, ye jo chehrā hai,jaise koī chāṇd hai, to kyā kahogī
maiṅ tumse kahūṅgī,
mujh ko bhūle se bhī chāṇd tum nā kaho, chāṇd meṅ to kaī dāg haiṅ
mujhe phūl nā kahnā vo murjhāte haiṅ, jugnū bhī nā kahnā vo kho jāte haiṅ
ye bāteṅ pūrānī haiṅ, jo mujhko sunānī haiṅ, kisī aur adā se kahte
jarā ghumā phirā ke kahte, to achchhā hotā
agar maiṅ kahūṇ,
bāteṅ sunke tumhārī maiṅ hairān hūṇ, jo bhī kahnā hai kaise kahūṇ
lagtā tumhe kuchh bhī achchhā nahīṅ, sach ko bhī kahtī ho sachchā nahīṅ
agar maiṅ kahūṇ, tumhe patā nahī hai, kyoṅ hai pyār mujhe bhī tumse, to kyā kahoge
maiṅ tum se kahūṇgā, mere dil kā hai ye kahnā, hamko haiṅ sāth meṅ rahnā
ye dono ke dil meṅ hai nā, to phir kyoṅ kahnā
agar maiṅ kahūṇ, to maiṅ tumse kahūṅgī