Lailaa ko bhool jaaenge majnoon ko bhool jaaenge

लैला को भूल जाएंगे मजनूं को भूल जाएंगे
Work
Year
Language

लैला को भूल जाएंगे मजनूं को भूल जाएंगे
आने वाले प्रेमी अब कसमें हमारी खाएंगे
लैला को भूल जाएंगे …

इस दुनिया को प्यार सिखाना काम हमारा होगा
प्रेम ग्रन्थ के हर पन्ने पर नाम हमारा होगा
कुछ ऐसा कर जाएंगे हमें लोग भुला न पाएंगे
लैला को भूल जाएंगे …

जब तक होंगे चाँद सितारे तब तक फूल खिलेंगे
भेष बदल के रूप बदल के हम धरती पे मिलेंगे
चाहत की खुश्बू से हम तो गुलशन को महकाएंगे
लैला को भूल जाएंगे …

lailā ko bhūl jāeṅge majnūṅ ko bhūl jāeṅge
āne vāle premī ab kasmeṅ hamārī khāeṅge
lailā ko bhūl jāeṅge …

is duniyā ko pyār sikhānā kām hamārā hogā
prem granth ke har panne par nām hamārā hogā
kuchh aisā kar jāeṅge hameṅ log bhulā na pāeṅge
lailā ko bhūl jāeṅge …

jab tak hoṅge chāṇd sitāre tab tak phūl khileṅge
bheṣh badal ke rūp badal ke ham dhartī pe mileṅge
chāhat kī khuśhbū se ham to gulaśhan ko mahkāeṅge
lailā ko bhūl jāeṅge …