Lahron pe lahar, ulfat hai javaan

लहरों पे लहर, उल्फ़त है जवां
Work
Year
Language

लहरों पे लहर, उल्फ़त है जवां
रातों की सहर, चली आओ यहाँ
सितारे टिमटिमाते हैं, तू आजा आजा
मचलती जा रही है ये हवाएं आजा आजा
लहरों पे लहर, उल्फ़त है जवां …

सुलगती चाँदनी में थम रही है तुझ पे नजर
कदम ये किस तरफ़ बढ़ते चले जाते हैं बेखबर
ज़माने को है भूले हम अजब सी ख्वाब ये सफ़र
लहरों पे लहर, उल्फ़त है जवान …

ना जाने कौनसी राहें हमारा कौन सा है जहान
सहारे किसके हम ढूँढे, हमारी मंजिल है कहाँ
सदा दिल की मगर कहती है मेरी दुनिया है यहाँ
लहरों पे लहर, उल्फ़त है जवां …

lahroṅ pe lahar, ulfat hai javāṅ
rātoṅ kī sahar, chalī āo yahāṇ
sitāre ṭimṭimāte haiṅ, tū ājā ājā
machaltī jā rahī hai ye havāeṅ ājā ājā
lahroṅ pe lahar, ulfat hai javāṅ …

sulagtī chāṇdnī meṅ tham rahī hai tujh pe najar
kadam ye kis taraf baṛhte chale jāte haiṅ bekhabar
zamāne ko hai bhūle ham ajab sī khvāb ye safar
lahroṅ pe lahar, ulfat hai javān …

nā jāne kaunsī rāheṅ hamārā kaun sā hai jahān
sahāre kiske ham ḍhūṇḍhe, hamārī maṅjil hai kahāṇ
sadā dil kī magar kahtī hai merī duniyā hai yahāṇ
lahroṅ pe lahar, ulfat hai javāṅ …