Lahraatee hueen raahen khole hue hain baahen

लहराती हुईं राहें खोले हुए हैं बाहें
Work
Year
Language

लहराती हुईं राहें खोले हुए हैं बाहें
ये हम आ गए हैं कहाँ
पलकों पे गहरे हल्के हैं रेशमी धुँधलके
ये हम आ गए हैं कहाँ
वो देखो ज़रा पर्बतों पे घटाएँ
हमारी दास्ताँ हौले से सुनाएँ
सुनो तो ज़रा ये फूलों की वादी
हमारी ही कोई कहानी है सुनाती
सपनों के इस नगर में, यादों की रहगुज़र में
ये हम आ गए हैं कहाँ
जो राहों में है रुत ने सोना बिखेरा
सुनहरा हुआ तेरा मेरा सवेरा
ज़मीं सो गई बर्फ़ की चादरों में
बस इक आग सी जलती है दो दिलों में
हवाएँ सनसनाएँ, बदन काँप जाएँ
ये हम आ गये हैं कहाँ
ये बरसात भी कब थमे कौन जाने
तुम्हें मिल गए प्यार के सौ बहाने
सितारों की है जैसे बारात आई
हमारे लिए रात यूँ जगमगाई
सपने भी झिलमिलाएँ, दिल में दिये जलाएँ
ये हम आ गये हैं कहाँ

lahrātī huīṅ rāheṅ khole hue haiṅ bāheṅ
ye ham ā gae haiṅ kahāṇ
palkoṅ pe gahre halke haiṅ reśhmī dhuṇdhalke
ye ham ā gae haiṅ kahāṇ
vo dekho zarā parbtoṅ pe ghaṭāeṇ
hamārī dāstāṇ haule se sunāeṇ
suno to zarā ye phūloṅ kī vādī
hamārī hī koī kahānī hai sunātī
sapnoṅ ke is nagar meṅ, yādoṅ kī rahguzar meṅ
ye ham ā gae haiṅ kahāṇ
jo rāhoṅ meṅ hai rut ne sonā bikherā
sunahrā huā terā merā saverā
zamīṅ so gaī barf kī chādroṅ meṅ
bas ik āg sī jaltī hai do diloṅ meṅ
havāeṇ sanasnāeṇ, badan kāṇp jāeṇ
ye ham ā gaye haiṅ kahāṇ
ye barsāt bhī kab thame kaun jāne
tumheṅ mil gae pyār ke sau bahāne
sitāroṅ kī hai jaise bārāt āī
hamāre lie rāt yūṇ jagamgāī
sapne bhī jhilmilāeṇ, dil meṅ diye jalāeṇ
ye ham ā gaye haiṅ kahāṇ