Lahraa ke bal khaa ke ... sharaaraa sharaaraa main hoon ik sharaaraa

लहरा के बल खा के ... शरारा शरारा मैं हूँ इक शरारा
Year
Language

लहरा के बल खा के लहरा के बल खा के
बल खा के लहरा के
आग लगा के दिलों को जला के
करूँ मैं इशारा
शराराअ शरारा मैं हूँ इक शरारा
शरारा शरारा …

शोला है ये तन मेरा अरे देखो तुम पास न आना
शमा के जो पास आया अरे जलता है वो ही परवाना
ओ मेरे दीवानों बात को समझो
दूर से देखो मेरा ये नज़ारा
शरारा शरारा …

बिजली बनके गिरती हूँ मैं नागिन बन के डसती हूँ
छीने होश जो सबके मैं ही तो ऐसी मस्ती हूँ
ओ रंग छलका दूँ साँसें महका दूँ
पल में धड़का दूँ मैं ये दिल तुम्हारा
शरारा शरारा …

lahrā ke bal khā ke lahrā ke bal khā ke
bal khā ke lahrā ke
āg lagā ke diloṅ ko jalā ke
karūṇ maiṅ iśhārā
śharārāa śharārā maiṅ hūṇ ik śharārā
śharārā śharārā …

śholā hai ye tan merā are dekho tum pās na ānā
śhamā ke jo pās āyā are jaltā hai vo hī parvānā
o mere dīvānoṅ bāt ko samjho
dūr se dekho merā ye nazārā
śharārā śharārā …

bijlī banke girtī hūṇ maiṅ nāgin ban ke ḍastī hūṇ
chhīne hośh jo sabke maiṅ hī to aisī mastī hūṇ
o raṅg chhalkā dūṇ sāṇseṅ mahkā dūṇ
pal meṅ dhaṛkā dūṇ maiṅ ye dil tumhārā
śharārā śharārā …