Lagee tumse lagan saathee chhoote na

लगी तुमसे लगन साथी छूटे न
Work
Year
Language

लगी तुमसे लगन साथी छूटे न
नाता जनम जनम का टूटे न

चाहे क़िसमत हमको ठुकराये
चाहे दुनिया दुशमन बन जाये
चाहे सब रूठ जाये
लगी तुमसे लगन …

ये प्रीत के हैं नाज़ुक धागे
दुनिया की नज़र न लगे
कोई प्यार हमारा लूटे न
लगी तुमसे लगन …

lagī tumse lagan sāthī chhūṭe na
nātā janam janam kā ṭūṭe na

chāhe qismat hamko ṭhukrāye
chāhe duniyā duśhman ban jāye
chāhe sab rūṭh jāye
lagī tumse lagan …

ye prīt ke haiṅ nāzuk dhāge
duniyā kī nazar na lage
koī pyār hamārā lūṭe na
lagī tumse lagan …