madhuban meṅ jo kanhaiyyā kisī gopī se mile
kabhī muskāye, kabhī chheṛe, kabhī bāt kare
rādhā kaise nā jale, rādhā kaise nā jale
āg tan man meṅ lage, rādhā kaise nā jale
madhuban meṅ bhale kānhā kisī gopī se mile
man meṅ to rādhā ke hī prem ke haiṅ phūl khile
kisliye rādhā jale, kisliye rādhā jale
binā soche samjhe, kisliye rādhā jale
gopiyāṇ tāreṅ haiṅ, chāṇd hai rādhā
phir kyoṅ hai us ko bisvās ādhā
kānhājī kā jo sadā idhar udhar dhyān rahe
rādhā bechārī ko phir apne pe kyā mān rahe
gopiyāṇ ānī jānī haiṅ, rādhā to man kī rānī hai
sāṇjh sakāre, jamunā kināre, rādhā rādhā hī kānhā pukāre
bāhoṅ ke hār kā jo ḍāle koī kānhā ke gale, rādhā kaise nā jale
man maiṅ hai rādhe ko kānhā jo basāye
to kānhā kāhe ko use nā batāye
prem kī apnī alag bolī, alag bhāsā hai
bāt nainoṅ se ho kānhā kī yahī āsā hai
kānhā ke ye jo nainā haiṅ, chhine gopiyoṅ ke chainā hai
milī nazrīyāṅ, huī bāvārīyāṅ, gorī gorī sī koī guzrīyāṅ
kānhā kā pyār kisī gopī ke man meṅ jo pale, kisliye rādhā jale