Lab pe tere iqraar-e-mohabbat sher gazal kaa lagtaa hai

लब पे तेरे इक़रार-ए-मोहब्बत शेर गज़ल का लगता है
Work
Language

लब पे तेरे इक़रार-ए-मोहब्बत
शेर ग़ज़ल का लगता है
शर्म से चेहरा लाल गुलाबी
फूल कमल का लगता है
लब पे तेरे …

दिल को नजर से टकराये भी
एक ज़माना बीत गया
चोट मगर है इतनी ताज़ा
हादसा कल का लगता है
लब पे तेरे …

बेखुद होकर मस्त हवाएं
ऐसे कब लहराती थी
ये जादू तो हल्के हल्के
उस आँचल का लगता है
लब पे तेरे …

हम समझे थे भूल गये हैं
वो चाहत का अफ़साना
आज मगर फिर दर्द सा
दिल में हल्का हल्का लगता है

लब पे तेरे इक़रार-ए-मोहब्बत
शेर ग़ज़ल का लगता है
शर्म से चेहरा लाल गुलाबी
फूल कमल का लगता है
लब पे तेरे …

lab pe tere iqrār-e-mohabbat
śher ġhazal kā lagtā hai
śharm se chehrā lāl gulābī
phūl kamal kā lagtā hai
lab pe tere …

dil ko najar se ṭakrāye bhī
ek zamānā bīt gayā
choṭ magar hai itnī tāzā
hādsā kal kā lagtā hai
lab pe tere …

bekhud hokar mast havāeṅ
aise kab lahrātī thī
ye jādū to halke halke
us āṇchal kā lagtā hai
lab pe tere …

ham samjhe the bhūl gaye haiṅ
vo chāhat kā afsānā
āj magar phir dard sā
dil meṅ halkā halkā lagtā hai

lab pe tere iqrār-e-mohabbat
śher ġhazal kā lagtā hai
śharm se chehrā lāl gulābī
phūl kamal kā lagtā hai
lab pe tere …