ā kahīṅ dūr chale jāeṅ ham
dūr itnā ki hameṅ chhū na sake koī ġham
ā kahīṅ dūr …
phūloṅ aur kaliyoṅ se mahke hue ik jaṅgal meṅ
ik hasīṅ jhīl ke sāhil pe hamārā ghar ho
os meṅ bhīgī huī ghās pe ham chalte hoṅ
raṅg aur nūr meṅ ḍūbā huā har maṅzar ho
maiṅ tujhe pyār karūṅ mere sanam
tū mujhe pyār kare mere sanam
ā kahīṅ dūr …
ā ā
śhām kā raṅg ho gahrā to sitāre jāge
rāt jo āe to reśham se aṅdhere lāe
chāṇd jab jhīl ke pānī meṅ nahāne utre
merī bāhoṅ meṅ tujhe dekh ke śharmā jāe
maiṅ tujhe pyār karūṅ mere sanam
tū mujhe pyār kare mere sanam
ā kahīṅ dūr …