Kyoon mujhe itnee khushee de dee ki ghabraataa hai dil

क्‌यूँ मुझे इतनी ख़ुशी दे दी कि घबराता है दिल्
Work
Year
Language

क्‌यूँ मुझे इतनी ख़ुशी दे दी, कि घबराता है दिल
कहीं मचल न जाऊँ, कहीं फिसल न जाऊँ
मचल न जाऊँ, फिसल न जाऊँ
क्‌यूँ मुझे इतनी ख़ुशी दे दी, कि घबराता है दिल

एक मैं हूँ और बहारें बेशुमार
हो न जाये आज आँचल तार-तार
धक से हो जाता है मेरा जी जो इतराता है दिल
क्‌यूँ मुझे इतनी ख़ुशी दे दी, कि घबराता है दिल

खिल गई हूँ अपनी सूरत देखकर
लग न जाये मुझको मेरी ही नज़र
ये वो रुत है जिसमें अपने पर ख़ुद आ जाता है दिल
क्‌यूँ मुझे इतनी ख़ुशी दे दी, कि घबराता है दिल

ज़िन्दगी बेताब है मेरे लिये
प्यार रंगीं ख़्वाब है मेरे लिये
सब बहक जाते हैं जाने क्‌यूँ, जो बहकाता है दिल
क्‌यूँ मुझे इतनी ख़ुशी दे दी, कि घबराता है दिल्

k‌yūṇ mujhe itnī khuśhī de dī, ki ghabrātā hai dil
kahīṅ machal na jāūṇ, kahīṅ phisal na jāūṇ
machal na jāūṇ, phisal na jāūṇ
k‌yūṇ mujhe itnī khuśhī de dī, ki ghabrātā hai dil

ek maiṅ hūṇ aur bahāreṅ beśhumār
ho na jāye āj āṇchal tār-tār
dhak se ho jātā hai merā jī jo itrātā hai dil
k‌yūṇ mujhe itnī khuśhī de dī, ki ghabrātā hai dil

khil gaī hūṇ apnī sūrat dekhkar
lag na jāye mujhko merī hī nazar
ye vo rut hai jismeṅ apne par khud ā jātā hai dil
k‌yūṇ mujhe itnī khuśhī de dī, ki ghabrātā hai dil

zindgī betāb hai mere liye
pyār raṅgīṅ khvāb hai mere liye
sab bahak jāte haiṅ jāne k‌yūṇ, jo bahkātā hai dil
k‌yūṇ mujhe itnī khuśhī de dī, ki ghabrātā hai dil