K‌yaa khoyaa k‌yaa paayaa jag men

क्‌या खोया क्‌या पाया जग में
Work
Year
Language

क्‌या खोया क्‌या पाया जग में

मिलते और बिछड़ते मग में

मुझे किसी से नहीं शिक़ायत

यद्यपि छला गया पग पग में

एक दृष्टि बीती पर डालें

यादों की पोटली टटोलें

अपने ही मन से कुछ बोलें

प्रथ्वी लाखों वर्ष पुरानी

जीवन एक अनन्त कहानी

पर तन की अपनी सीमाएँ

यद्यपि सौ शरदों की वाणी

इतना काफ़ी है अंतिम दस्तक

पर ख़ुद दरवाज़ा खोलें

अपने ही मन से कुछ बोलें

जन्म मरण का अविरत फेरा

जीवन बंजारों का डेरा

आज यहां कल कहाँ कूच है

कौन जानता किधर सवेरा

अँधियारा आकाश असीमित

प्राणों के पंखों को तौलें

अपने ही मन से कुछ बोलें

k‌yā khoyā k‌yā pāyā jag meṅ

milte aur bichhaṛte mag meṅ

mujhe kisī se nahīṅ śhiqāyat

yadypi chhalā gayā pag pag meṅ

ek dṛṣhṭi bītī par ḍāleṅ

yādoṅ kī poṭlī ṭaṭoleṅ

apne hī man se kuchh boleṅ

prathvī lākhoṅ varṣh purānī

jīvan ek anant kahānī

par tan kī apnī sīmāeṇ

yadypi sau śhardoṅ kī vāṇī

itnā kāfī hai aṅtim dastak

par khud darvāzā kholeṅ

apne hī man se kuchh boleṅ

janm maraṇ kā avirat pherā

jīvan baṅjāroṅ kā ḍerā

āj yahāṅ kal kahāṇ kūch hai

kaun jāntā kidhar saverā

aṇdhiyārā ākāśh asīmit

prāṇoṅ ke paṅkhoṅ ko tauleṅ

apne hī man se kuchh boleṅ