क्या ख़बर थी तेरी महफ़िल से निकलना होगा
क्या ख़बर थी तेरी मह्फ़िल से निकलना होगा
दिल न चाहे गा मगर आग पे चलना होगा
शमा इक रात जला कर्ती है लेकिन मुझ को
उम्र भर के लिये चुप चाप पिघलना होगा
छीन ली पयार की ठन्डक तो ज़माने ने कहा
तुझ को इक आतिश-ए-गुमनाम में जलना होगा
बन्द हैं मौत की राहें भी असीरों के लिये
जाने इस क़ैद से अब कैसे निकलना होगा
आसमां वाला अगर मेरा ख़ुदा है तो उसे
अपनी दुनिया के रिवाजों को बदलना होगा
kyā khabar thī terī mahfil se nikalnā hogā
dil na chāhe gā magar āg pe chalnā hogā
śhamā ik rāt jalā kartī hai lekin mujh ko
umr bhar ke liye chup chāp pighalnā hogā
chhīn lī payār kī ṭhanḍak to zamāne ne kahā
tujh ko ik ātiśh-e-gumnām meṅ jalnā hogā
band haiṅ maut kī rāheṅ bhī asīroṅ ke liye
jāne is qaid se ab kaise nikalnā hogā
āsmāṅ vālā agar merā khudā hai to use
apnī duniyā ke rivājoṅ ko badalnā hogā