क्या करते थे साजना तुम हमसे दूर रहके
क्या करते थे साजना तुम हमसे दूर रहके
हम तो जुदाई में अकेले
छुप-छुप के रोया करते थे
क्या बतलाएं जान-ए-जाँ हम तुमसे दूर रहके
अक़्सर दुआओं में ख़ुदा से
तुमको ही माँगा करते थे
जो पूछती थी सखियाँ बेचारी
ये रोग कैसा तुझको है प्यारी
चुप चुप उनका मुँह देखती थी
करती भी क्या मैं बिरहा की मारी
वो दिन भि क्या दिन थे सनम
मजबूर तुम लाचार हम
बस आहें भरा करते थे
तुमको ही माँगा करते थे …
माना जुदाई का मौसम बुरा था
उसका भी लेकिन अपना मज़ा था
थोड़ा तड़पना थोड़ा सिसकना
सच पूछिये तो अच्छा लगा था
क्या चीज़ है ये प्यार भी
सुख में हसीन दुःख में हसीन
न पूछो कि क्या करते थे
तुमको ही माँगा करते थे …
kyā karte the sājnā tum hamse dūr rahke
ham to judāī meṅ akele
chhup-chhup ke royā karte the
kyā batlāeṅ jān-e-jāṇ ham tumse dūr rahke
aqsar duāoṅ meṅ khudā se
tumko hī māṇgā karte the
jo pūchhtī thī sakhiyāṇ bechārī
ye rog kaisā tujhko hai pyārī
chup chup unkā muṇh dekhtī thī
kartī bhī kyā maiṅ birhā kī mārī
vo din bhi kyā din the sanam
majbūr tum lāchār ham
bas āheṅ bharā karte the
tumko hī māṇgā karte the …
mānā judāī kā mausam burā thā
uskā bhī lekin apnā mazā thā
thoṛā taṛapnā thoṛā sisaknā
sach pūchhiye to achchhā lagā thā
kyā chīz hai ye pyār bhī
sukh meṅ hasīn duḥakh meṅ hasīn
na pūchho ki kyā karte the
tumko hī māṇgā karte the …