K‌vaab ban kar koee aayegaa

क्‌वाब बन कर कोई आयेगा
Year
Language

चूम कर रात जो सुलायेगी तो नींद आयेगी
ख़्वाब बन कर कोई आयेगा तो नींद आयेगी
अब वही आ के सुलायेगा तो नींद आयेगी
ख़्वाब बन कर …

बात जो सिर्फ़ निगाहों से कही जाती है
कोई होंठों से सुनायेगा तो नींद आयेगी
ख़्वाब बन कर …

नर्म ज़ुल्फ़ों की महक गर्म बदन की खुशबू
चुपके चुपके वो चुरायेगा तो नींद आयेगी
ख़्वाब बन कर …

जिस्म हाथों की हरारत से पिघल जायेगा
आग रग रग में लगायेगा तो नींद आयेगी
ख़्वाब बन कर …

chūm kar rāt jo sulāyegī to nīṅd āyegī
khvāb ban kar koī āyegā to nīṅd āyegī
ab vahī ā ke sulāyegā to nīṅd āyegī
khvāb ban kar …

bāt jo sirf nigāhoṅ se kahī jātī hai
koī hoṅṭhoṅ se sunāyegā to nīṅd āyegī
khvāb ban kar …

narm zulfoṅ kī mahak garm badan kī khuśhbū
chupke chupke vo churāyegā to nīṅd āyegī
khvāb ban kar …

jism hāthoṅ kī harārat se pighal jāyegā
āg rag rag meṅ lagāyegā to nīṅd āyegī
khvāb ban kar …