Kuchh naa kaho, kuchh bhee naa kaho

कुछ ना कहो, कुछ भी ना कहो
Year
Language

कुछ ना कहो, कुछ भी ना कहो
क्या कहना है, क्या सुनना है
मुझको पता है, तुमको पता है
समय का ये पल थम सा गया है
और इस पल में कोई नहीं है
बस एक मैं हूँ, बस एक तुम हो

खोयी सब पहचाने, खोये सारे अपने
समय की छलनी से गिर गिर के, खोये सारे सपने
और इस पल में .. .. ..

हमने जब देखे थे, सुन्दर कोमल सपने
फूल सितारे, परबत, बादल, सब लगते थे अपने
और इस पल में .. .. ..

kuchh nā kaho, kuchh bhī nā kaho
kyā kahnā hai, kyā sunnā hai
mujhko patā hai, tumko patā hai
samay kā ye pal tham sā gayā hai
aur is pal meṅ koī nahīṅ hai
bas ek maiṅ hūṇ, bas ek tum ho

khoyī sab pahchāne, khoye sāre apne
samay kī chhalnī se gir gir ke, khoye sāre sapne
aur is pal meṅ .. .. ..

hamne jab dekhe the, sundar komal sapne
phūl sitāre, parbat, bādal, sab lagte the apne
aur is pal meṅ .. .. ..