Kuchh mere dil ne kahaa, kuchh tere dil ne kahaa

कुछ मेरे दिल ने कहा, कुछ तेरे दिल ने कहा
Year
Language

कुछ मेरे दिल ने कहा, कुछ तेरे दिल ने कहा
अब हम क्या कहें, क्या सुने, जब दिल बाते करने लगे

ये दिल बेजुबान था, आज इस को जुबान मिल गई
मेरी जिन्दगी को एक हसीन दास्ताँ मिल गई
जीने का, मरने का, आयेगा अब मजा

तुझ से मिल के जाना, कितनी तनहा थी मैं तेरे बिन
पल पल कैसी हलचल, जिन्दगी में है अब रात दिन
मैं कहूँ और क्या, बस तेरा शुक्रिया

kuchh mere dil ne kahā, kuchh tere dil ne kahā
ab ham kyā kaheṅ, kyā sune, jab dil bāte karne lage

ye dil bejubān thā, āj is ko jubān mil gaī
merī jindgī ko ek hasīn dāstāṇ mil gaī
jīne kā, marne kā, āyegā ab majā

tujh se mil ke jānā, kitnī tanhā thī maiṅ tere bin
pal pal kaisī halchal, jindgī meṅ hai ab rāt din
maiṅ kahūṇ aur kyā, bas terā śhukriyā