Kuchh log mohabbat karke ho jaate hain barbaad

कुछ लोग मोहब्बत करके हो जाते हैं बरबाद्
Work
Year
Language

कुछ लोग मोहब्बत करके हो जाते हैं बरबाद
कुछ लोग मोहब्बत करके कर देते हैं बरबाद
किस नाम से याद करेंगे हम तुझको आज के बाद

इस खुदगर्ज़ी को देकर इक मजबूरी का नाम
उल्फ़त के नाम को तूने कर डाला है बदनाम
ऊपर से भोले पंछी तुम अन्दर से सैय्याद
कुछ लोग मोहब्बत …

इक रोज़ कहा था तुमने हमको अपना महबूब
महबूब बदलने का ये अंदाज़ बहुत है ख़ूब
इस बात पे हम ख़ुश हो कर देते हैं मुबारकबाद
कुछ लोग मोहब्बत …

चुप रहे ज़ुबान-ए-खंज़र छुपता नहीं ये इल्ज़ाम
लेता है लहू का क़तरा-क़तरा क़ातिल का नाम
क्‌या चैन से जीने देगी तुमको मेरी फ़रियाद
कुछ लोग मोहब्बत …

kuchh log mohabbat karke ho jāte haiṅ barbād
kuchh log mohabbat karke kar dete haiṅ barbād
kis nām se yād kareṅge ham tujhko āj ke bād

is khudgarzī ko dekar ik majbūrī kā nām
ulfat ke nām ko tūne kar ḍālā hai badnām
ūpar se bhole paṅchhī tum andar se saiyyād
kuchh log mohabbat …

ik roz kahā thā tumne hamko apnā mahbūb
mahbūb badalne kā ye aṅdāz bahut hai khūb
is bāt pe ham khuśh ho kar dete haiṅ mubārakbād
kuchh log mohabbat …

chup rahe zubān-e-khaṅzar chhuptā nahīṅ ye ilzām
letā hai lahū kā qatrā-qatrā qātil kā nām
k‌yā chain se jīne degī tumko merī fariyād
kuchh log mohabbat …